Sad Poems




...yaad...

aaj phir yad us ki mujhe aai hai,
aaj phir sang apne lakhon gam lai hai,
aaj phir matam hoga mere dil ka,
na jane kab tak yeh silsila rahe ga,
aaj phir bahot door shanaiyan baje gi,
jaise ki mera dil pe churiyan chalage,
aaj phir koi hase ga to koi roe ga, 

na jane kon jage ga to koi soe ga,
aaj phir kismat meri mujhe wohin lai hai,
jahan par likhi hui abhi tak judai hai
-
Main aaj bhi chup hoon
Main kal bhi chup thi
Log kehtay hain kuch to bolo
Apni khamoshi ke band kholo
Main sochti hoon kya boloon
Jo kuch mere dil main hai kis se kahon?
Un say jo nahin jantay
Jazbon ki haqeeqat kya hai
Rooh kay sannaton main ghulti hooi
Qatra qatra see azeeat kya hai
Jo samajhtay hain ke insaan faqt
Chand ashyaa-e-zaroorat ka hai mohtaj
Yeh mohabbatain yeh rafaqatain
Yeh khuloos-o-wafa ki rahatain
Sab bay mani lafzon ke gharonday hain
Jin main baaith kar insaan
Haqeeqaton se faraar chahta hai
Magar meri soach in say mukhtalif hai 
Or ye he tanao ye he nafraton ka baais hai
Main kal bhi chup thi
Main aaj bhi chup hoon :(
-
Apnee sochoan ke andheron main safar karti hoi
Zehn per apne khayalaat ka boajh liye
Phir rahi hoon barri bojhal bojhal
Sochti hoon meri sochon ka yeh tareek safar
Jaane kub khatam ho ik dor naya aajae
Meri taqdeer ke aangan main
Sahar kar jaey..............................
-
Chalo ik baar phir say ajnabi bun jaayain hum dono
Na main tum say koi umeed rakho dil nawazee ki
Na tum meri taraf dekho ghalat-andaaz nazron se
Na meray dil ki dharhkan larhkharhaaye meri baatoan main
Na zaahir ho tumhaari kushmakush ka raaz nazron se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai paish-qadmi se
Mujhe bhi log kehtay hain ke kya jalway paraaye hain
Meray humraah bhi ruswaaiyaan hain meray maazi ki
Tumhaaray saath bhi guzree hoi raaton ke saaye hain
Taarruf rog ho jaaye to us ko bhoolna behtar
Taalluq bojh bun jaaye to us ko torna achha
Woh afsaana jisay takmeel tak laana na ho mumkin
Usay ik khoobsoorat morr dey kar chhorrna achha
Chaloa ik baar phir say ajnabi bun jaayain hum dono
-
Dard meri zindagi ka ek hissa sa ban gaya hai . . . . . . . . . . . . . . .

khushiyon ka mujh see rothnaa ek silsila sa ban gaya hai . . . . . . . .

jub se tote hain mere sapne jub se chohti hain mujh say khushiya jub se
rothay hain mere apne . . . . . .

han tab se bas tab se
 hansna bolna
muskuranaa khush rehnaa sab banawat
sa lagnee laga hai . . . . . . . .

bas tabhi se dard meri zindagii ka ek
hissa sa ban gaya hai . . . . . . .

 -
Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see

Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay

Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee

Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho

Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay

Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain

Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho

Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban

Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din
Naheen, magar kabhi kabhi 
-
 Zahir main hansi hai ander main her aik dukhi hai..
Her shaks nikalta hay yooun chehra saja k...
Hum rasm-o-rah mehr-o-muhabbat bhool chukay hain...
Ab adawat-o-nafrat k rahain gay ranj otha k...
Jab chor diya hum nay  akal k daman...
Sach kehtay ho tum,
Humain koon samjhai ga aa k...!!!
 
-
Tum pocho aur main na btaon , Aaeysay tu halaat nahi!!
Aik zra sa dil tota hai , Aur tu koi baat nahi!!
Kis ko khaber thee sanwalay badal bin bersay uRr jatay hain,
Sawan aya laykin apni , Kismat main bersaat nahi!!
Toot gaya jab dil tu phir saanso ka nagma kia myney,
Goonj rahi hai kion shehnai, Jab koi baraat nahi!!
Mere ghumgeen honay per ehbaab hain kion hayraan katai,
 Jaysay main pather hoon mere , Sinay main jazbaat nahi!!
-
Jis ki qurbat main iqraar tha...Is ka milna doshwar tha...
Ju mere haath ki lakiron main Na tha...Os shaks se humain pyaar bohat tha...
Dukh ki thays humain sehna he thee...Ek shaks per humain aetbaar bohat tha...
Jis ko mere gher ka rasta maloom nahi...Isi ka dil ko intazaar bohat tha...
Nai zakhmon ki abhi kaber nahi hoi...Pehli he choton ka khumar bohat tha...
Na chahtay howay bhi osay bholaya...Kia kertay os ka israr bohat tha!!!
-
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har qadam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil ki nakami pe rona aaya.....

-
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti,
 iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti ....
chahti hoon main tujhe aaj bhi par,
teri soch mein apna waqt bekar nahi karti...
tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri .....
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti.....
jo kuch mila hai usi mein khush hoon main....
tere liye khuda se taqraar nahi karti ....
par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim...
warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti....!!
-
Aik muddat se jisy maine dekha nahi aaj bhi main usko bhooli nahi
aaj bhi yaad uski aati to hai aaj bhi raat ko main soti nahi
aaj bhi darya mere samnay hai aaj bhi main toot ke bikhri nahi
aaj bhi wada apna sacha to hai aaj bhi pyaar apna jhoota nahi
aaj bhi main oski to hon farq itna hai k wo mera nahi.....!
-
zamanay say suna tha kay mohabat har jati hay...
jo chahat ik terfa ho wo chahat har jati hay
kahi per duaa ka il lafz bhi asar ker jata hay...
kahin burson ki ibadat har jati hay
mohabat kub kisi ko dushmani ka durs daiti hay...
mohabat ki bazi main adawat har jati hay
humain kitnay bhi shikway hon us ki jufaon kay...
per us kay samnay her ik shikayt har jati hay
ik arzo si hay kay us ko bhool jain hum...
per us ki yad atay hi ye husrat haar jati hay.
-
kisi nay kaha phool say kay mughay buta
to aj tuk kion khilta raha...
to nay to di sub ko khushbo
tujh ko kia milta raha?
phool nay muskra ker kaha
abhi to nadan hay..
jewan kay suchay piar say to abhi anjan hay...
denay kay budlay kuch leena
wo to ik karobar hay...
jo day ker bhi kuch na mangay..
wohi sucha piar hay.
-
Suno..
tum laut aao na

Wo dekho chaand nikla hai
Sitaare jag magaye hain

Hamaari muntazir aankhein
Duaein maangti aankhein
Tumhain hi sochti aankhein
Tumhain hi dhondti aankhein
Tumhein waapis bulati hain

Ye dil jab bhi dharakta hai
Tumhara naam leta hai

Ye aansoo jab bhi behte hain
Tumhare dukh mein behte hain

K barish jab bhi hoti hai
Tumhe hi yaad karte hain

Khushi koi jo aaye bhi
Tumhare bin adhoori hai

Suno...

tum laut aau na...
tum laut aau na...

-
Raabta on se tor kar hamne udaasi ka jaam pee liya hai
jab se unhon ne kisi or se mulaqaton ka silsila shuru kiya hai

hum kyun nahi samjhte ke mohabbat mere naseeb main nahi
jo aaj phir se rah-e-ishq ko azma liya hai

chahat ke phool to khilte hai roz hi magar
hum unhein dil main aik raz ki tarha chupate hain

Isi liye hai hoonth chup or band kar li hain aankhein
aise he ab wafa -e- dosti aada karte hain

duaon main mangtay hain un ki khushi aur salamti
par khud ab roz ghut ghut kar mara karte hain
 
-
Meri hansee pe mat jaana aye dost..
humne gham chupane ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri aahon ko tu saans mat samajh..
humne jiye jaane ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri palkon ki hulchal ko aise mat dekh..
humne ashq pochney ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri dhadkanon ko tu suna na kar..
humne tera naam lene ke andaaz mehaz badal diye hein..

Meri nabz thamkar tu kya ginta hai..
humne teri chuan paane ke andaaz mehaz badal diye hein..

Mera chehra dhak kar tu ab chala ja..
humne neend lene ke andaaz mehaz badal diye hein.
-
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai

Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai

Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai

Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai

Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai

Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai

Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai

Aakhri baar jo aaya tha mere naam
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai
-
Tumhain Dil Se Bhulate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain
Dard Dil Main Jagate Hain Tu, Aankhain Khoot Roti Hain..

Tumhare baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan
Kahin Bhi Dil Lagate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain

Teri Tasweer, Adhoore Khat, Tu Jala Diye Hum Ne
Ab Paani Pe Naqsh Banate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain

Ghata Aawargi Main Jab, Siyah Choola Pehanti Hai
Parinde Jab Satate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain

Jab Bhi Shaam Dhalti Hai, Meri Qismat K Sab Taray
Falaq Par Jagmagate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain

Sard Tareek Raaton Main, Siyah Sawan Ki Barish Main
Dard Jab Muskurate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain

Sahil Ki Woh Mitti, K Jis Pay Khoon Hathoon Se
Wafa Likh Kar Mitate Hain Tu, Aankhain Khoob Roti Hain
-
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..


Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..


Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya..

woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..

Aana paye the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi .........
tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya
-
Tum bi hanstey rehtey ho
Hum bi hanstey rehtey hain
Gham dilo mai palttey hain
Aur pata nahi chalta
Kitney hi zamano sai
Kitney hi makano mai
roshni nahi hoti
aur pata nahi chalta
tum bin ji na paey gai
akser yey khahtey they
tum bin jitey rehtey hain
Aur pata nahi chalta
 
-
 
Sabhi udaas mausam hain
kabhi milne chale aao
Dukhon mein ham to gum-sum hain
kabhi milne chale aao

Tumhare paas to hongi zamane
bher ki sab khushian
Hamaray paas to gham hain
kabhi milne chale aao

Tumhari yaad ab dil ko
bahut takleef deti hai
Nigahein bhi to purnam hain
kabhi milne chale aao

Lage hain zakham kitne
be-baha dil pe mohabbat mein
Tumhare lafz marham hain
kabhi milne chale aao

Yeh patthar hi na ho jaayen
nigahain dekhte rasta
Ke khushian bhi to barham hain
kabhi milne chale aao...
 
-
 
Na socha tha yeh dil lagany se pehley
Ki tootay ga dil muskurany se pehley

Umeedon ka suraj na chamka na dooba
Gerhan per gaya jagmagany se pehley

Ager gham uthan tha qismat main apni
Khushi kion mili gham uthany se pehley

Kaho bijlion se na dil ko jalain
Mujhy phonk dain ghar jalany se pehley
-
 
youn he baaton he baaton main
ik din uss nay mujh say kaha tha
jo pyar kartey hain
woh jaaya nahi kartey
aur jaanay waalon ko kabhi
rouka nahi kartey

phir

youn he baaton he baaton main
mujhey abb yaad aaya hay
k ussay to jaanay ki jaldi thi....
 
-
 
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kayee Baar Mujhy.......
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....
Tuu Nay Batoon Main Khoob Us Say Chupaya Ho Ga....
 
-
 
kuchh aise ghaao bhii hote haiN
jin se zaKhmii aap nahiin dhote
bin roye huye aaNsuoN kii tarah
siine meN chhupaa ke rakhate haiN
aur saarii umr nahiin rote

niindeN bhii muhaiyaa hotii haiN
sapane bhii duur nahiiN hote
kyuuN phir bhii jaagate rahate haiN
kyuuN saarii raat nahiiN sote

ab kis se kaheN ai jaan-e-vafaa
ye ahal-e-vafaa kis aag meN jalate rahate haiN
kyuuN bujh ke raakh nahiiN hote
-
 
Seenay mein Dil hai
Dil mein Dard hai
Dard mein Nasha hai
Nashay mein Mithas hai
Mithas mein Meza hai
Mezay mein Arzoo hai
Arzoo mein Musarrat hai
Musarrat mein umeed hai
umeed mein Yaqeen hai
Yaqeen mein Khayal hai
Khayal mein Tasawur hai
Tasawur mein Tu hai
Tujh mein Ada hai
Ada mein Hayea hai
Hayea mein Nazakat hai
Nazakat mein Shooqi hai
Shooqi mein Tohfa hai
Tohfay mein Banawat hai
Banawat mein Apnayat hai
Apnayat mein Chahat hai
Chahat mein Kholoos hai
Kholoos mein Pyaar hai
Pyaar mein Ebadat hai
Ebadat mein KHUDA hai...... 


Emoticon Emoticon